Chasma Frame Ki Care Kaise Karein? | App Ki Smasiya Ka Hal
Namaskar dosto,
sawagat hai app sab ka is post mai, aasha hai app sab healthy honge. Ajj hum
jis topic pe charcha karne wale hain us ka title “Chasma Frame Ki Care Kaise
Karein” waise to is topic pe English basha mai kafi sar jankari internet pe
mojood hai, magar hamare log English ko sahi tarah sai nahi smajte hain is liye
hum Yahan kosis karenge keh app ko ye jankari hinglish mai provide kare.
Koi bhi chasma
frame bohot hi najuk hota hai or app ki choti see galti sai app ka chasma frame
kharab ho sakta hai. Apne chasma frame ki proper care karne ke liye ajj kuch
basic information is post mai share karenge.
Chasma Frame Ki Warranty:
Jee haan dosto,
sab sai pehle app ko naya chasma frame
buy karte time chasma frame ki warranty card ko deeply read karna jaroori hai. Chasma Frame warranty card mai chasma frame ka original brand, warranty
time or replace ka option likha hota hai. Chasma frame warranty card ko fully read karne ke baad hi chasma
buy kare.
Chasma Frame Cover Case:
By default shopkeeper app ko chasma frame ke saath cover case bhi dega jo keh free of cost hota hai. Cover case ki quality ko bhi jaroori check kare, normal chasma cover case app ke chasme ko damage karenge or app ka chasma proper or fully fit na hone ki samasiya app ko preshani kare gi.
Hamesha chasma cover case ko shop mai hi check kare or frame ko cover case
mai daal kar make sure kar le keh app ka chasma frame easily cover mai fit aata
ho.
Chasma Safai Ke Liye Soft Cotton Ka Piece:
Jee shopkeeper app ko chasma ke saath 1 soft cotton ka piece bhi free of cost provide kare ga. Ye soft piece app apne chasme ko saaf or dust sai mehfooj rakhne ke liye use kar sakte hain.
Kisi or romal sai
chasme ko saaf na kare. Warna app ka chasma ke upar scratches show honge or
lens jaldi kharab hone ka andesha hoga.
Koi bhi chasma frame buy kare time upar diye
gaye advices ko jaroori apne dimag mai rakhe, ab chasma frame buy karne ke baad ye app ko jimadari hai keh app apne chasma ka care kaise karte hain. Apne chasma ka care karne ke liye hum app ko
kuch upaye batayenge, aasha hai app in pe amal kar ke apne chasma ka acha care
karenge.
Chasma Frame Ko Safe Jaga Pe Rakhna:
Ye baat aksar
dekha giya hai keh log apne chasme ko office ya gar mai kisi bhi jaga pe rakhte
or bhool jate hain. Gar mai bache app ke
chasma ko damage kar sakte hain or app ka lose ho sakta hai. Hamesha chasma frame ko safe jaga pe rakh le.
Chasma Ki Safai Ka Tarika:
Hamesha chasma saaf karna ho to free time mai
kare, hurry mai safai sai chasma damage ho sakta hai. Chasma frame bohot najuk
hota hai or app ki full attention ki jaroorat hoti hai. Chasma safai ke doran pehle
apne hands ko saaf kare or neat or clean soft cotton sai saaf kare, pehle lens
ko saaf kare, phir frame or arms ko saaf kare, last mai nose pads ko saaf kare.
Chasma Lagana or Utaarne Ka Tarika:
Jab bhi chasma
apne chehre pe lagaye to dono hatoon sai lagaye, dono hatoon sai lagane sai
chasma ka balance sahi rehta hai. Or jab
chasma utaarna hot to dono hatoon sai hi utare, is process sai app ka frame misbalance
nahi hoga or frame lamba time tak chale ga.
Crochet Cover Case for Chasma Frame | Easy To Use
Crochet Cover
kayee parkar ke hote hain, to chale crochet
chasma frame cover case ki kuch design bare baat karte hain.
Crochet Cover Kaise Banta Hai?
Crochet chasma
frame cover ajj kal females mai trending pe chal raha hai or is ka use maximum
females karti hain. Is ki waja ye hai keh crochet chasma frame cover Khawateen
gar pe easily design karti hai or apne passand ke colors ke dhage ko use kare
bohot khobosrat crochet chasma cover bana sakti hain.
Crochet Cover Ke Benefits:
Crochet Cover easy
to use hota hai or soft dhage se banaya jata hai jis ki waja sai app ke chasma
frame ko scratches nahi aati or frame ki life lambi hoti hai. Crochet Cover females easily apne
wallet mai rakh sakti hain or ye cover minimum space leta hai or app jab chahe
apne frame ko is cover mal daal kar wallet me rakh sakti hain.
Crochet Cover Ka Design:
Ye app ki choice pe depend hai keh app kesa design ka crochet cover case passand karti hai. or agar app ko market mai koi crochet cover passand na bhi aaye to app order pe design kara sakti hain, sirf ye make sure karle ke jo bhi dhaga crochet cover mai use hoga wo soft ho or thora dark color ka ho to jaldi mela nahi hoga or jab bhi mela hoga app apne cloths ke saath wash sakti hai.
Jee to dosto, ye post app ko kasi lagi, apne comments, suggestions or feedback sai jaroor inform kare. Aasha hai app ko ye post informative lage gi, agar app smajte hai keh ye post informative hai to please, apne friends ke saath social media pe jaroori share kare. App ki aik share sai hame himat milti hai keh hum app ke liye is topic pe or bhi post publish kare.
COVID ka war joroon pe hai, apne app ko family or relatives ko is waba sai safe rakhe.
No comments:
Welcome to comments