Chasma Saaf Karne Ka Tarika Kya Hai?
Namaskar dosto, sawagat hai app ko is post mai. Aasha app log perfect honge. Ajj ki post mai hum Chasm Saaf Karne Ka Tarika bare charcha karenge. Jee haan dosto, chasma ko saaf karna easy nahi hai, app ki choti see mistake app ka chasma damage kar sakti hai.
Is liye apne chasme ko saaf karne se pehle chand jaroori baatoon ka khayal rakhna bohot jaroori hai. To chale app ko batate hain keh chasma kaise saaf kia jata hai.
Naram Cloth Ka Piece:
Apne Chasma Ko Saaf karne se pehle jaroor check kare keh cloth ka piece jis se app Chasma Saaf karne ja rahe ho wo naram or malayam or saaf hai keh nahi. Agar kapda naram or malaym nahi hoga to is se Chasma Ke Lens pe scratches aane ka khatra hota hai.
Jab bhi Chasma Saaf karne ke liye soft cotton ka kapda istimal kare or soft hands se apne chasma ko saaf kare. Agar apne hands se ziyada press karenge to frame tootne ka khatra hota hai. Hamesha soft cloth ka piece apne Chasma Cover mai rakhe or use kare.
Nose Pad ki Safai Kaise Kare?
Jee dosto nose pad ki safai karna bohot mushkil kaam hai, app ki choti see galti frame ko damage kar sakti hai. Chasma Nose Pad ko soft tooth brush ke saath slowly wipe kare or soft cloth ke piece se saaf kare.
Agar ho sake to thora garam pani se Nose Pad ko wash kare. Nose pad ko wash karne ke liye app ko tooth brush ki jaroorat hogi.
Chasma Saaf Karne Ke Tarike:
Sab se pehle to app ko chasma buy karne ke saath Chasma Cover case to bhi purchase karna chahiye, Chasma Cover app ke chasma ko dust se mehfooj rakhta hai. Apne chasma ko hamesha cover main pack kar ke rakh le. Chasma Saaf Karne Ke Tarike kafi sare hain jin ka charcha upar kya giya hai. Chasma Saaf Karne se pehle make sure karle keh app ke pass soft tooth brush, soft cotton piece, garam pani mojood ho.
Chasma Saaf Karne ke liye full concentration ki jaroorat hoti hai. App ye kaam free time ghar mai karle, hurry situation mai kabi bhi Chasma ko Saaf na kare. Chasma frame ko saaf karne ke liye app ko garam pani or soft cotton ka piece kafi hai or agar chasma lens ka saaf karna ho to app ke pass soft brush Colgate ya lemon jaroor hona chahiye.
Chashma Saaf Karne Ka Tarika:
Shisha Saaf Karne
Ka Tarika
Shisha koi bhi ho chahe wo camera ka ho, gadi ka ho, computer ka ho, or chasma ka ho bohot hi najuk hota hai or app ko proper knowledge chahiye is ko saaf karne ke liye. Agar without information app Shisha ko saaf karna shuru karenge to Shisha ke upar scratches ajayenge or app ka Shisha kharab hog or noqsan hoga.
Sheesha Saaf Karne Ka tarika ye hai keh app ke pass soft naram or malaym cloth ka piece or glint ya surf hona jaroori hai. Sab se pehle sirf soft cotton se app Sheesha ko saaf karenge. Is ke baad pani se softly wipe karenge. Pani se Sheesha ko geela karne ke baad glint ka spray kare or akhbar ka kagaz use kare. Akhbar ka kagaz bohot hi jabardast hota hai Sheesha saaf karne ke liye.
No comments:
Welcome to comments