Aankhon Ke Chasme vs Frame Design
Hamesha jab bhi app apne aankhon ke liye chasme ko purchase karna chahe to chand batoon ka zaroor khayal rakhe. Market main different deisgn ke chasma frames bulk mai
mojood hain or app ko apne chahre ke mutabiq chasma choose karna kafi difficult ho jata hai. Agar app ye mehsoos kare keh chasma frame choose karne mai mushkil ho rahi hai to yahan chand batoon ka zaroor khayal rakhe.
Sab sai pehle app apne chehre ke dimension ko achi tarah check kare, agar chahre ki dimension ko check karne mai mushil ho to apne qareebi optician shop sai discuss kar le keh app ke chehre ko kis type ka chasma fit hoga.
Optician ki advice ko ignore na kare kyon keh wo app ke chehre ki dimension ko achi tara check kar ke app ko chasma frame recommend kare ga.
Chehre ki dimension ko check krane ke baad second step frame ko choose karne ka hota hai, kuch log full rim frame ko passand karte hain or kuch log half-rim frame ko like karte hain.
Lekin kuch log jo sirf rimless frame ko hi passand karte hain. app ko in teeno frames ko apne chehre ke mutabiq choose karna hoga.
Agar app ka chehra gol type ka hai to rimless frame app ko suit karenge, magar thora soche, rimless frame bohot sensitive or breakable hota hai, app ki thori see mistake app ke frame ko break kar sakti hai or app ko frame ka noqsan ho sakta hai.
Rimless Chasma Frame:
rimless frame ko use karne ke liye bohot ziyada care ki zaroorat hoti hai, app ko hamesha frame ko chehre mai laga ke rakhna hoga, sirf raat ko sote waqt app us ko utaar kar kisi mehfooz jaga pe box mai dall kar rakhe.
Khayal rahe keh rimless frame chote bachoon ke haath na lage warna app ko ahca khasa noqsan bhi ho sakta hai. Lens Scratches Ko Clean Karne Ka Tarika
Semi-Rimless Chasma Frame:
Semi rimless/half rimless frame kuch behtar hote hain, app ko ziyada care ki zaroorat bhi nahi hoti, bas frame ko kisi ahic jaga pe rakhe raat ko sote time.
Haan half rimless frame ka weight thora ziayad hota hai jo app ko sara din distrub bhi kar sakta hai, us key app ko decide karna padega keh app ke chehra weight wala frame accept karta hai ya nahi.
Full Rim Chasma Frame:
Full rim chasma frame plastic ka ho ya metal ka dono type ke chasme bohot mazboor hote hain, Frame ka tootne ka issue kam hota hai or app rough time mai bhi us frame ko
use kar sakte hain. Magar frame ka wazan bohot ziyada hota hai jo app ke nose skin ko kharab kar sakta hai. Apne nose skin ko mehfooz rakhen ke liye app ko din mai kafi baar chasme ko utaarna padega warna app key nose skin ke uppar shade padne ka andesha hota hai.
Chasma Frame For Man:
Men key liey chasma frame metallic material ka ho to acha hai, metallic frame man face shape ke saath match karta hai, jaise ray ban ke frame jo metal ke hote hain man face shape pe ache jajte hain.
ladies Chasma Frame:
Ladies chasma frame plastic material ka ho or compact design or maximum face ko cover karta ho frame acha hai. Agar frame black ho or company ka logo bhi ho to frame ki attraction or bhi increase ho jati hai. Phir bhi frame ko apne chehre ke dimension ke mutabiq hi lagaye or is ke liye optician ki help bhi lele.
Chasma Frame Girl:
Girl's ki choice bohot different hoti hai, stylish with shining frame bohot passand karti hain. Agar frame multicolor ka ho to or bhi attractive lagta hai. Chasma frame plastic ka ho or colorful frames ko girls like karti hain. Fancy Chasma Frame
Chasma Frame Boy:
Boys ki choice bhi more less girls wali choice hi hoti hai. Boys ki choice mai ray ban, Rondolph, Aviator, Sports type ke frame passand karte hain. Boys hamesha black frame or black lens wale chasme ko like karte hain.
Upar diye gaye tamam batoon ko apne zahen mai rakh kar app chasma frame ko choose kare to app ka noqsan nahi hoga or app long time tak apne chasme ko achi tarah istimal karenge.
What Type of Frame Do
You Like? |
Does Plastic Frames
Better Than Metallic? |
Why People Wearing
Eyeglasses? |
Does Eyesight Sustain
With Eyeglasses? |
What is Better Chasma?
Eyeglasses or Eyewear? |
No comments:
Welcome to comments