Ache Chasme Ki Pehchan | 10 Important Points

 Ache Chasme Ki Pehchan | 10 Important Points

Chahe app nazar ke chasme lete hoon ya desing chasme kharidte hoon, app ko hamesha chand batoon ka khayal rakhna bohot zaroori hai.

Yahan is post mai hum app ko 10 zaroori points ke bare information provide karengey take app jab bhi chasma purchase karne jao to in batoon ko apne zahen mai zaroor rakhe. Take app ke paisey zaya na ho.

Market mai bohot sare design ke chasme app ko mil jayegne, or cheap price mai bhi mil jayenge.  Magar in sab designs ko dekh kar app ne konsa chasma ko passand karna hai, aik samasya hai.

Kafi sare log market sai bager kisi janch ke saste chasme ko laker aate hain or wo chasme kuch dino ke baad kharab hote hain or dobara new chasme buy karne padte hain. Jo keh galat hai. Kyon app apne paisay ko zaaya kare or kyon bar bar market sai naye chasme purchase kare. 10+ Best Chasma Frame Photo

 

Ache Chasme Ki Pehchan

10 Important Points Kia Hain:

Frame quality: Jee haan frame hi chasme ki asal pehchan hote hain, agar app ne low quality metallic or plastic frame ko purchase kia to wo app ko ziyada time nahi challenge or app ko kuch dino baad dobara chasma kharidna parega. Is liye frame quality ko hamesha make sure kar le keh frame ki quality zabardast hai or app key face shape ke mutabiq hai.

 

Frame Bridge Length:  Frame bridge length bhi aik aham factor hai chasme jaldi kharab hone ke. Hamesha frame bridge quality ko check kare keh kaheen chote to nahi or tight to nahi jis ki waja sai app ko chasma istimal karne mai mushkil pesh aasakti hai. Frame bridge ki quality ko check kar ke chasme ko purchase kare.

 

Nose Pads Quality: agar chasme ke nose pads achi quality ke nahi honge to ye app ki nose skin ko jaldi damage karengey.  Is liye nose pads ki quality ko make sure kar le keh ye nose skin ke liey dangoure to nahi.  Agar compact nose pad honge to app ko chasme pehene mai mushkil pesh aaye ga. Flexible nose pads to choose kare or plastic nose pads better hain. Full-Form of EG

 

Frame Arms: heavyweight arms app ke chahre ke liye theek nahi. Lightweight arms hi behtar hain. Is sai app key kaan key upar wazan nahi padega or app ko bar bar chasma utaar ne ki zaroorat bhi nahi hogi.  Hamesha slim or lightweight frames arms ko hi choose kare. Agar thori bohot flexibility bhi ho to acha hai.

Frame Hinges: soft and flexible hinges app ke chasme ki life ko increase karte hain. App aasani sai chasme ko utaar sakte hain jis app ke frame ko noqsan bhi kam hoga. Hamesha frame ko dono haath sai lagaye or utaare. Aik haath sai utaar ne pe frame ki balance out hone ka andesha rehta hai. Weekly frame hinges ko oil lagaye take wo soft rahe or hinges ki safai bhi bohot zaroori hai.

 

Rimless Frames: agar app ko weight wale chasme passand nahi hain to app rimless chasme ko bhi buy kar sakte hain. Haan magar app ko extra care ki zaroorat hogi. Rimless chasme bohot nazuk hote hain or agar choti si bhi mistake hojaye to chasma noqsan ho sakta hai.

App ke liye zaroori hai keh frame box ko hamesha saath rakhe, jab bhi chasma ko utare box mai rakhe. Is sai app ka chasma kharab nahi hoga or long life chale ga.

Design Frame:  Design frame hamesh plastic ka buy kare. Plastic frame ko app roughly use kar sakte hain or driving ke waqt bhi use kar sakte hain.  Khayal rahe keh frame ke arms compact ho or press ho app ko bar bar frame ko adjust na kar na pade.

 

Microfiber soft Cloth:  sirf microfiber cloth sai hi chasme ko saaf kare. Doosre kisi cloth sai agar saaf kia to shishey ke upar scratches namudar honge or app ko shishey change krana padega. Microfiber cloth behtar hai chasma or shishey ko saaf karne ke liye.

Polarized lens: lens hamesha top quality ke hi choose kare, is sai app ki nazar ko noqsan nahi hoga. Direct dhoop ke karishme bhi nahi padenge. Design chasme ke liye black shishey bohot ache hote hain or summer season mai black sunglasses hamesha istimal kare.

 

Frame Warranty:  agar app kisi branded shop sai purchasing karte hain to yaqeen karle keh app ke chasme ki warranty card app ko mila hai.  Warranty validity ko achi tarah check kare, agar chasme damage howe to app ko easily replace chasme mil jayenge.

 

Aasha karta hoon keh app ko ye maloomat achi lagi hongi, app ko ye post passand aye to please apne friends key saath share zaroor kare. What is the full form of NP

No comments:

Welcome to comments

Powered by Blogger.